Mahine Ka Rashan 15000 Me Kaise Karen? - Choti Family Ke Liye Mukammal List

Assalam-o-Alaikum behno! Kya aapka bhi mahine ka rashan 20 hazar se upar chala jata hai? Mehngai itni hai ke samajh nahi aata kya len or kya chor den.


Me aapke liye 2 bacho wali choti family ke liye 15000 me mukammal rashan ki list lai hun, jis se mera pora maheena aasani se guzar jata hai.


15000 Rupay Ki Mukammal Rashan List:


Aata - 20 KG - 2800 Rs

Chawal (Toota Wala) - 5 KG - 1500 Rs

Cheeni - 5 KG - 750 Rs

Ghee / Oil - 5 KG - 2500 Rs

Daal Moong - 2 KG - 700 Rs

Daal Masoor - 2 KG - 600 Rs

Sufaid Chane - 2 KG - 600 Rs

Namak, Mirch, Haldi - 1000 Rs

Chai Ki Patti - 900 Gram - 900 Rs

Surf, Sabun, Shampoo - 1000 Rs


Total Kharcha = 14700 Rs (300 Rs bachat)


15000 Me Guzara Karne Ke 5 Sunahri Usool:


1. Mahine Ki 1 Hi Bari Shopping Karen: Roz roz dukaan par jayen gi to 200-300 rupay zyada lag jate hain. Ek list bana kar ek hi dafa shopping karen.


2. Bara Pack Len: Chota sachet mehnga parta hai. Ghee, cheeni, patti ka hamesha bara pack len, sasta parta hai.


3. Toota Chawal Istamal Karen: Biryani wale mehnge chawal ki bajaye toota chawal len, salan ke sath zaiqa same hi lagta hai or 100 rupay kilo sasta hai.


4. Daal Ziada, Gosht Kam: Hafte me 2 dafa daal or 1 dafa chane banayen. Is se hazaro rupay ki bachat hoti hai or sehat bhi achi rehti hai.


5. Apni List Par Qaim Rahen: Dukaan dar kehta hai "baji ye wala acha hai" to uski na sunen. Apni list par qaim rahen.


Koshish karen to Allah barkat bhi deta hai. Umeed hai ye list aapke liye faidemand hogi.


Aapka mahine ka rashan kitne me hota hai? Comment me zaroor batayen.

Comments

Popular posts from this blog

Achanak Mehmaan Aa Jayen To 200 Me Chai Pani Kaise Karen? Izzat Bhi Reh Jaye

Daraz Sale Se Paise Kaise Kamayen? Ghar Bethe Affiliate Se 1000 Roz - Bina Investment Ke

Naya Syllabus, Nayi Kitaben Mehengi? 3000 Ki Kitaben 800 Me Kahan Se Lun? Maa Ka Tareeka