Daraz Sale Se Paise Kaise Kamayen? Ghar Bethe Affiliate Se 1000 Roz - Bina Investment Ke
Assalam o Alaikum Behno! Kya aap bhi sochti hain Daraz par sirf kharcha hota hai? Nahi behno! Main pichle 2 mahine se Daraz se Roz Ke 500-1000 Kama Rahi Hun, Bina 1 Rupya Lagaye! Mujhe bhi pehle lagta tha ye jhoot hai, lekin jab maine Daraz Affiliate join kiya to samajh aya - Bechna nahi, bas link share karna hai! "Daraz Affiliate Kya Hai? (Bohat Asan)" Aap Daraz ka koi bhi product, jese bache ka sweater, apna link banati hain. Jab koi behan aapke link se wohi sweater khareedti hai to Daraz aapko 10% commission deta hai! Maslan: Sweater 2000 ka hai, aapko 200 mil gaya - Bina kuch beche, bina parcel bheje! "Ghar Bethe 1000 Roz Kaise Kamayen? Mere 3 Steps:" "Step 1: Affiliate Account Kaise Banayen? (5 Minute Me)" Google par likhen "Daraz Affiliate Program", pehli website kholen. Wahan Gmail se signup karen. 24 ghante me approval mil jata hai. Koi fees nahi! Maine apne Shohar ke CNIC se nahi, apne naam se banaya hai, ghar ki khawateen bhi bana sakt...