Ghar Ka Chote Chote Kharchon Se Paise kaise Buchayen?
Ghar ka budget bigadne ki sab se bari wajah bade kharche nahi, balke roz ke chote chote kharche hote hain. Agar hum in choton kharchon par control kar len to mahine ke akhir me achi khasi bachat ho sakti hai.
*1. Rozana Bahar Khana Band Karen*
Agar hum roz 200 rupay ka samosa, pakora ya chai bahar se lete hain to mahine ka 6000 rupay banta hai. Isi cheez ko ghar par banane se 2000 me hi kaam ho jayega.
*2. Bijli Ka Istemal Soch Samajh Kar*
Ghar me jahan zarurat na ho wahan light band rakhen. Mobile charger, TV ka button band karna aisi choti aadatein hain jo bill me 1000 se 1500 tak bacha sakti hain.
*3. List Ke Baghair Shopping Na Karen*
Bazaar jane se pehle list banana bohat zaruri hai. List ke baghair hum fazool cheezen le lete hain jo zarurat ki nahi hoti.
*4. Bachon Ko Paise Ki Qadar Sikhayen*
Bachon ko choti umar se hi bachat ki adat dalen. Unhe khilone ya faltu cheezon ke liye zid karne ki bajaye samjhayen.
*Khatma:*
Mehengai ke is dor me paisa bachana kanjoosi nahi balke samajhdari hai. In chote steps se aap apne ghar ka budget asani se manage kar sakti hain.
Aap is par amal karke dekhen aur comment me batayen ke aapko kitni bachat hui.
Comments
Post a Comment