5000 Ruppay Mahana Me Ghar Ka Budget kaisy Banayein? Mukammal Guide
Assalam-o-Alaikum! Main Farah Khan.
Har maheene ke akhir me yahi soch ke pareshan hoti thi ke paisa kahan gaya? Agar aap bhi 5000 rupay me ghar ka kharcha chalana chahte hain to ye post sirf aap ke liye hai.
*5000 Rupay Ko 4 Hisso Me Taqseem Karen:*
*1. Rashan (2500 Rupay):* Maheene ke shuru me hi aata le len. Chawal aur daal wholesale se len.
*2. Sabzi (1000 Rupay):* Roz ki sabzi mat len, 2 din ki ek sath len. Aloo, Pyaaz hamesha ghar me rakhen.
*3. Bijli, Gas, Mobile (1000 Rupay):* Din me fuzool light band rakhen. Chota mobile package karwain.
*4. Bachat (500 Rupay):* Chahe 100 rupay hi sahi, har maheena zaroor bachayen.
*3 Sunahri Usool:*
1. List bana kar bazaar jayen.
2. Bachon ko samjhayen cheezen zaya na karen.
3. Raat ka bacha khana zaya na karen, subah use kar len.
Yaqeen karen 5000 me guzara mushkil hai lekin na-mumkin nahi. Aap is tareeqe par amal karen aur mujhe Comment me zaroor batayen.
Aapki Duaon ki Talib - Farah
Comments
Post a Comment